
Jeevan kya? kathhin nirnayo ki kadi si hai
Har chhand sangharsha se bhari si hai !!
Kabhi Bebaak, vachaal , alhaadpan se bhari
Kabhi khamosh Udaas Tanhayiyo se saji !!
Sansaar ke rangmanch pe avtarit koi patkatha si mano
Kabhi parishtithiya utpaan kar hamein niyantran mein hone ka vaham karati
Agale pal sab soch ke vipreet kar mano aaukaat dikhati !!!
Kabhi Achanak kuch avishmarndeey pal de jaati
Agale pal bebas lachaar bana kathhputli hone ka ahsaas karati
Jeevan kya ? kathhin nirnayo ko kadi si hai................. !!!
3 comments:
i like this poem
sangharsh na ho to jeevan hi ahmiyat ko hum samajh hi nahi payenge....her sangharsh humare irradon ko aur pakka banata hai...humme her muskilon se samna krne ki taqat deta hai...
...mujhe to jeevan se bahut mohabbat hai
found it good.synchronization between lines can be better.alankar pattern or some rhythm might have used to make it sound slight strong. theme is very good and d way thoughts have written, it shows depth of emotions of writer ...Good hai bhai
Post a Comment