Tuesday 19th April-2011 my fellow fighter friend (we(actually she) religiously fight daily for no reasons) suddenly asked me if I would like to go to Temple with her, usually for such question I just have one answer "give me a break" that day I don't know why but I said "YES". We went to Hanuman temple in CP, Delhi and the experience was Blissful , Pure and of full contentment. While I was sitting alone in central park in CP, I felt the silence and calmness around me despite the usual noise of kids and families there and wrote below lines then and there..........
MERI EIBADAT......
Aaj aaya tumhare dwar, Tumhara shukriya aada karane
Un Tamaam sangharsho ka, tamaam kathhnayiyo ka
Jo tumane bheji meri raah , meri sheekh ke liye !
Bahot kam aaya tumhari chaukhat pe main,Par sada ahsaas rahta tha
Tumhari marazi jaroori hai ,meri har jeet ke liye !!
Log tumhari chaukhat pe , ankhein band kar mangate hai tumase
Maine ankhein khol haq se manga hardam tumase , Yakeen tha mujhe tum par
Sach aur imaandari eibadat ka tareeka hai mera , Agarbattiya nahi jalata, janta hun dhunyein se taqleef hoti hai,
Samaj ke banaye ashtha ke mantr bhi nahi janta , Par yakeen hai mujhe tum par , janta hun ashtha, mantr aur agarbattito ki mohtaaj nahi !!!
Jab bhi andhera chhaya hai , tumane rasta dikhaya hai
Jab bhi nadaniya ki maine aur thhokar khayi hai , Tumane uthaaya hai
Bhawnaye jahir karane ke huner mein thhoda peechhe rah gaya
Tumhari haziri rajister mein thoda neeche rah gaya
Bahot din baad aaya to kya, dahleej ke paar ek shukun sa paya hai
Mano tumane pure dulaar se gale lagaya hai
Aaj aaya tumhare dwar, Tumhara shukriya aada karane ... !!!!
2 comments:
very touching and nice
Thank you
Post a Comment